kya khabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho ye samundar kahin sach-much mein samundar hi na ho jis ki ummid pe sar phod rahi hai duniya kahin is aahani diwar mein wo dar hi na ho jaan kar phul jise dil se lagae hue hain ghaur se dekh len chhu kar use patthar hi na ho dar-o-diwar se ye kaise nazar aate hain jis ko virana samajh baithe hain wo ghar hi na ho is qadar hum ko darana nahin achchha 'athar' kya pata hum ko kisi chiz ka phir dar hi na ho