abru ka war aur dil-e-be-qarar par kyon rakh liya gharib ko khanjar ki dhaar par us barq-wash ne hans ke mere haal-e-zar par bijli girai khirman-e-sabr-o-qarar par suniye to kuchh nahin ye bura manne ki baat dil de to koi aap ko kis eatibar par li hogi jite ji meri kuchh aap ne khabar kuchh baad-e-marg aaenge mere mazar par kunj-e-qafas se hae rihai na ho saki har-chand andalib ne mare hazar par