dosti ko aam karna chahta hai khud ko wo nilam karna chahta hai bech aaya hai ghata ke hath suraj dopahar ko sham karna chahta hai naukri pe bas nahin jaan pe to hoga ab wo koi kaam karna chahta hai umr-bhar khud se raha naraaz lekin dusron ko ram karna chahta hai bechta hai sach bhare bazar mein wo zahar pi kar nam karna chahta hai maqta-e-be-rang kah kar aaj 'aslam' hujjat-e-itmam karna chahta hai