achchha hua main waqt ke mehwar se kaT gaya

achchha hua main waqt ke mehwar se kat gaya
qatra guhar bana jo samundar se kat gaya

zinda jo bach gae hain sahen nafraton ke dukh
apna gala to pyar ke khanjar se kat gaya

mausam bhi munfail hai bahut kya bharun udan
rishta hawaon ka mere shahpar se kat gaya

palkon par apni kaun mujhe ab sajaega
main hun wo rang jo tere paikar se kat gaya

wo mel-jol husn o basirat mein ab kahan
jo silsila tha phul ka patthar se kat gaya

main dhup ka hisar hun tu chhanw ki fasil
tera mera hisab barabar se kat gaya

kitna bada azab hai baatin ki kashmakash
aaina sab ka garmi-e-jauhar se kat gaya

sab apni apni zat ke zindan mein band hain
muddat hui ki rabta bahar se kat gaya

dekha gaya na mujh se maani ka qatl-e-am
chup-chap main hi lafzon ke lashkar se kat gaya

us ke ana ki waza thi sab se alag 'faza'
kya shakhs tha ki apne hi tewar se kat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close