dil ko har surmai rut mein yahi samjhate hain aise mausam kai aate hain guzar jate hain had se badh jati hai jab talkhi-e-imroz to phir hum kisi aur zamane mein nikal jate hain raat-bhar nind mein chalte hain bhatakte hain khayal subh hoti hai to thak haar ke ghar aate hain kaise ghabrae se phirte hain mere khal ghazal zindagani ki kadi dhup mein sanwlate hain phul se log jo khushbu ke safar par nikle dekhte dekhte kis tarah se murjhate hain chhodiye jo bhi hua thik hua bit gaya aaiye rakh se kuchh khwab utha late hain