be-basar aafat se taklif hoti hai mujhe

be-basar aafat se taklif hoti hai mujhe
sar-phire haalat se taklif hoti hai mujhe

jo mere dushman ko samjha kar gai kam-zarf hai
yani kis kis baat se taklif hoti hai mujhe

aaj bairun-e-qafas sayyaad ki parwa nahin
aap apni zat se taklif hoti hai mujhe

jashn kar meri tabahi par koi shikwa nahin
bas teri auqat se taklif hoti hai mujhe

ham-nashini se teri har shab bahut shirin thi
juz tere ab raat se taklif hoti hai mujhe

zulm ka aadi hun zanjiri meri pahchan hai
khud lagai ghat se taklif hoti hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close