gatha padh kar aatish dhonki ganga se ashnan main ne har yug nazr guzari har pidhi mein dan dhyan laga kar aankhen mundin baitha ghutne tek mitha lafz bhajan ban utra sachcha sher gunan man dharti ko pesh-sukhan ke rang-birange phul bhag bhari ko bhent sunahre misre ka loban saya sachchal shah ki ajrak raushan mir charagh amrohe se uth kar aae hum bagh-e-multan sayyare par zardi utri dariya mitti khushk hathi par haudaj kaswao nake par palan ai dharti ke tyagi uth kar ghor khala mein baith agli gadi ki ghanti tak tu hai aur rahman farsh lapete tare jhade narsange ki phunk palan-haara tu data hai kar jo chahe than manzar aab-o-tab samete shayad hai maujud lams haqiqat aks mujassam aawazon par kan