achchhi lagti hai mujhe is liye ghar ki surat

achchhi lagti hai mujhe is liye ghar ki surat
wo mere samne rahte hain sahar ki surat

tu meri aankhon mein rahta hai gulabon ki tarah
dekhta hun main tujhe ahl-e-nazar ki surat

mere ehsas ki duniya mein ujala ho jae
kash main dekh lun ja kar tere dar ki surat

be-dhadak main teri mahfil mein chala aata hun
na koi khauf ki surat hai na dar ki surat

un ke aansu na thahar paenge rukhsaron par
dekh len wo jo mere dida-e-tar ki surat

dhundla dhundla nazar aata hai jahan-e-rangin
ab wo pahli si nahin shams-o-qamar ki surat

phul isar ke murjha nahin sakte 'akhtar'
khair ke samne phalti nahin shar ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close