har bar hi kahta hai mujhe pyar nahin hai zalim ye koi ishq ka mear nahin hai chalna hi padega mujhe maujon ke sahaare kashti mein hun aur hath mein patwar nahin hai fitrat ke manazir se ye andaza hua hai duniya ki koi chiz bhi bekar nahin hai is shahr ki haalat se to lagta hai mujhe ye koi bhi yahan sahab-e-isar nahin hai phulon ki mahak kis tarah mahsus karega jo shakhs mohabbat ka talabgar nahin hai saj ban ke nikalne ka nahin faeda koi ye shahr koi misr ka bazar nahin hai 'akhtar' koi milta nahin dukh bantne wala jazba yahan ikhlas ka bedar nahin hai