bhul kar bhi idhar nahin aata wo kabhi rah par nahin aata kis ka jalwa nazar se guzra hai ki mujhe kuchh nazar nahin aata charkh-e-gardish se thak gaya shab-e-hijr din nikalta nazar nahin aata bah gaya dil to gham nahin ai chashm kaam mein kya jigar nahin aata hun shab-e-wasl is qadar be-khud bim-e-marg-e-sahar nahin aata kis gali mein chala hun marne ko shauq mein kuchh nazar nahin aata tera kucha agar bahisht nahin ja ke kyun nama-bar nahin aata pher deni chhuri to aati hai lutf-e-sayyaad agar nahin aata nau-giraftari-e-musibat dekh hum ko nala bhi kar nahin aata dil ko kya jaane kya hua 'salik' chain kyun raat-bhar nahin aata