koi samjhega kya raaz-e-gulshan jab tak uljhe na kanton se daman yak-ba-yak samne aa na jaana ruk na jae kahin dil ki dhadkan gul to gul khar tak chun liye hain phir bhi khali hai gulchin ka daman kitni aaraish-e-ashiyana tut jae na shakh-e-nasheman azmat-e-ashiyana badha di barq ko dost samjhun ki dushman un gulon se to kante hi achchhe jin se hoti ho tauhin-e-gulshan