ada na hon jab suKHan zaban se harir jaise

ada na hon jab sukhan zaban se harir jaise
nikalna is kaman se lafz tir jaise

ajib rut hai anaj mange hai ab hawa bhi
har ek dar pe ye dastaken de faqir jaise

sabhi ke hathon mein mas jalne ki bu rachi hai
jhulas rahi ho khulus ki har lakir jaise

main apne aalam mein tere aalam se puchhta hun
wahan bhi baste hain log kya mujh asir jaise

use bhi ab hirz-e-jaan banana padega 'akhtar'
ki ho gaya hai harif raushan zamir jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close