ajab tarah se ana ka khitta kataw par tha ruka tha dariya magar kinara bahaw par tha shikast mein zar ke sath diwar-o-dar chale the juari ab ke bhi jit khwahish ke daw par tha wahan wahan baad-e-tund ke bhi giroh pahunche jahan-jahan sarkashon ka lashkar padaw par tha ye kis ke sine mein dhup neze gado rahi thi wo barf raaton mein jism kis ka alaw par tha tamam shahron ke wast namus mandiyan thin ana ka mear sab ke nazdik bhaw par tha