shikwa-e-kasrat-e-bedad karun ya na karun khatir-e-husn ko nashad karun ya na karun dil-e-barbaad ko aabaad karun ya na karun sochta hun ki tujhe yaad karun ya na karun aasman mujh se hirasan hi raha karta hai khwah main nala-o-fariyaad karun ya na karun khud bhi sayyaad pareshan hai mujhe kar ke asir sochta hai ise aazad karun ya na karun jaur-e-gulchin hai ki badhta hi chala jata hai jaur-e-gulchin pe main fariyaad karun ya na karun mausam-e-gul ki hasin sham hai mai-khana-ba-dosh saqi aise mein tujhe yaad karun ya na karun zindagi kaif-ba-daman thi meri jab 'akhtar' ab wo bite hue din yaad karun ya na karun