adab-nawaz to ho koi fan-shanas to ho hamein bhi shahr mein jine ki koi aas to ho ye kya ki main hi sahe jaun ranj-e-tanhai meri tarah kabhi us ka ji udas to ho chale to kaise chale silsila mohabbat ka wo be-rukhi hi sahi kuchh na kuchh asas to ho ye aarzu hai kabhi main bhi khidkiyan kholun magar gali ki hawa mere ghar ko ras to ho lahu lahu hai badan phir bhi zindagi ke liye mere labon pe koi harf-e-na-sipas to ho is iltifat ko main kaise be-rukhi samjhun nazar se dur sahi dil ke aas pas to ho ye us ke aate hi kyun chup si lag gai 'khawar' wo samne hai to kuchh us se iltimas to ho