safar mein rah ke aashob se na dar jaana pade jo aag ka dariya to par kar jaana ye ek ishaara hai aafat-e-na-gahani ka kisi jagah se parindon ka kuch kar jaana tumhaara qurb bhi duri ka istiara hai ki jaise chand ka talab mein utar jaana tulu-e-mahr-e-darakhshan ki ek alamat hai uthae sham-e-yaqin us ka dar par jaana hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana har ek shakh ko pahna gaya numu ka libas safir-e-mausam-e-gul ka shajar shajar jaana hum apni sada-dili mein bhi be-misal rahe jo ham-safar bhi na tha us ko rahbar jaana