adam ke jaane walon ko bulaya ja nahin sakta

adam ke jaane walon ko bulaya ja nahin sakta
kuchh aisi nind soe hain jagaya ja nahin sakta

zara si baat par itna na tum rutha karo mujh se
mera kuchh haal hai aisa bataya ja nahin sakta

mere hi gham-kada mein lut gain khushiyan mere dil ki
khushi ka koi naghma aaj gaya ja nahin sakta

jo apne maslak-o-iman se hat kar ja raha hoga
kuja manzil ki us se kuchh bhi paya ja nahin sakta

'zafar' ki kaifiyat ko jaan kar kya kar sakoge tum
wo zakhmi dil hai us ka ki dikhaya ja nahin sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close