guman ki had se guzar kar yaqin ki had mein aae

guman ki had se guzar kar yaqin ki had mein aae
wo aasman agar hai zamin ki had mein aae

makin to rahte hain har dam makan ki had mein
kabhi makan bhi to apne makin ki had mein aae

tamam umr use dhundhti rahin aankhen
wo aa sake to dam-e-wapsin ki had mein aae

use milega suragh-e-adam suragh-e-wajud
jo han ki had se nikal kar nahin ki had mein aae

ye kaise sanp hain jo dudh ja-ba-ja pi kar
panah lene meri aastin ki had mein aae

tamam log hue razm-o-bazm ka hissa
magar 'zafar' kisi gosha-nashin ki had mein aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close