adawat dil mein rakhte hain magar yari dikhate hain na jaane log bhi kya kya adakari dikhate hain yaqinan un ka ji bharne laga hai mezbani se wo kuchh din se hamein jati hui lorry dikhate hain ulajhna hai hamein banjar zaminon ki haqiqat se unhen kya wo to bas kaghaz pe phulwari dikhate hain madad karne se pahle tum haqiqat bhi parakh lena yahan par aadatan kuchh log lachaari dikhate hain darana chahte hain wo hamein bhi dhamkiyan de kar bade nadan hain pani ko chingari dikhate hain darakhton ki hifazat karne walo dar nahin jaana dikhane do agar kuchh sar-phire aari dikhate hain himaqat qabil-e-tarif hai un ki 'akela' ji hamin se kaam hai hum ko hi rang-dari dikhate hain