dosti apni kisi se na shanasai hai zindagi ek musalsal shab-e-tanhai hai husn inayat hai rifaqat hai masihai hai ishq ibaadat hai parastish hai jabin-sai hai raaz mahsus hai is darja ki mere dil mein khud tamasha hai wo aur khud hi tamashai hai jis ke pine mein baqa jis ke pilane mein sawab meri taqdir mein zahid wo sharab aai hai hum se mil lete hain ye un ki dil-arai hai dur ja baithte hain hum yahi danai hai aankhon aankhon mein pila di mere saqi ne mujhe khauf-e-zillat hai na andesha-e-ruswai hai hamd-e-bari hai mohabbat jo usi se ho jae jis ko makhsus koi apni ada bhai hai wo mujhe dekh ke parde mein jo chhup jate hain main samajhta hun mohabbat mujhe ras aai hai nisf sad-sal se bhi zyaada hui umr tamam aur kis din ke liye un ki masihai hai dil mein rakhte hain harifon se chhupa kar mujh ko un ko malum hai rahbar mera saudai hai thik urdu abhi likhni bhi nahin aai hai aisi kam-ilmi pe kya khub ye goyai hai meri aadat hai wafa dil mein shakebai hai baat yun bargah-e-naz mein ban aai hai