dil-o-nigah mein jaise thahar gaya mausam tumhaare baad na badla ye dard ka mausam guzar chuke hain nazar se hazar-ha mausam kisi ke wada-e-shab ka na aa saka mausam bichhad gae ho agar tum to mar na jaunga bichhad ke aap se marne ka tha juda mausam khizan ki rut bhi bahaaron ke sath chalti hai kahan wo bagh ki jis mein ho ek sa mausam kahan ye wasl ki be-kaif be-maza ghadiyan kahan wo teri judai ka khushnuma mausam