adu ke kahne se mujh ko zalil-o-khwar kiya saza ye us ki hai main ne jo tum ko pyar kiya na hoga dawar-e-mahshar ke aage hashr mein bhi ki umr bhar usi kafir ko main ne pyar kiya hum aur beach mein aate hain un ki baaton ke unhon ne wada kiya hum ne e'tibar kiya bata to charkh bhala us se tujh ko kya hasil kisi ka shewa-e-zati jo ikhtiyar kiya maza yahi hai ki tarfain se hue be chini mere tadapne ne un ko bhi be-qarar kiya hamari nash ko thokar laga ke us ne kaha hamare aane ka kya khub intizar kiya bura kiya jo kaha un se muddaa dil ka ghazab kiya jo mohabbat ko aashkar kiya