ishq ke daur mein kuchh aise bhi pahlu aae

ishq ke daur mein kuchh aise bhi pahlu aae
hansna chaha to meri aankhon mein aansu aae

ek to wo phul hi kaghaz ke utha leta hai
is pe ye zid hai ki in phulon se khushbu aae

tu kahan tha ki tujhe dhundne mere ghar tak
kabhi bhaunre kabhi titli kabhi jugnu aae

bas ye hi soch ke har waqt tujhe yaad kiya
apni yaadon ke taaqub mein kabhi to aae

mera sabr aur tere zulm-o-sitam tol sake
kash ijad mein aisa bhi taraazu aae

tu hi us khwab ki tabir bata kyon 'khalid'
jism se mere tere jism ki khushbu aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close