apne iqrar pe qaem na wo inkar pe hai kis pari-zad ka saya mere dildar pe hai fikr-e-tahzib na asnaf-e-adab se raghbat aaj-kal sab ki nazar dirham-o-dinar pe hai aisa lagta hai chali aaegi pahlu mein abhi qadd-e-adam teri taswir jo diwar pe hai mujh ko is zulmat-e-shab-zar se nisbat hi kya meri bedar nazar subh ke aasar pe hai main to bikne pe hun raazi ba-sar-o-chashm 'sahar' faisla aa ke tika mere kharidar pe hai