adu ko main ne puchha kaun ye sarkar baithe hain to sale ne kaha hans kar hamare yar baithe hain kahin laila ka ya laila ki man ka sar utarenge janab-e-qais jo bandhe hue talwar baithe hain abe ye ghar hai tera ya koi bhatiyar-khana hai kahin do-chaar lete hain kahin do chaar baithe hain gadagad ho rahi hai wasl ki shab teri khalwat mein palang par ek leta hai to niche chaar baithe hain sawal-e-bosa-e-gesu pe barham ho ke farmaya hum in gustakhiyon se munh pe jute mar baithe hain kaha karte hain walid 'bum' ke josh-e-mohabbat mein nahin malum kis jangal mein bar-khurdar baithe hain