baja ke us ne riyazat ki intiha kar di magar khayal ki lau sher se juda kar di pas-e-huruf koi dil ki wardat na thi so khush-khati se hi tahrir khushnuma kar di na dekhi us ne kabhi lauh-e-dil pe abjad-e-ishq to chashm-o-ari-o-lab se ghazal bapa kar di koi bhi nuqta-e-khat zindagi pe ban na saka raqam kahin se ye tamsil-e-dilruba kar di ye us ke harf hain aawargan-e-shahr-e-sukhan mere khayal ne us ko zamin ata kar di