afshan chamak ke zulf-e-dota hi mein rah gai kuchh raushni si ho ke siyahi mein rah gai samjhunga tujh se roz-e-qayamat main ai junun gar koi baat meri tabahi mein rah gai aain hazar-ha shab-e-hijran mein aafaten par subh us ki ilm-e-ilahi mein rah gai aa hi chuki thi us ki ada se bala magar kuchh sharm kha ke shokh-nigahi mein rah gai 'nawwab' apne dil ko main kyun-kar nikalta kanghi ulajh ke zulf-e-rasa hi mein rah gai