dur jo bah raha tha dariya sa pas aa kar laga wo sahra sa hausle ki hai baat aandhi mein jal raha hai charagh nanha sa us ki tabir talkh hai kitni khwab dekha jo hum ne mitha sa ajnabiyyat ki dhund se niklun koi aae nazar jo apna sa tha chamakna magar meri qismat gir gaya tut kar sitara sa jal rahe hain charagh yaadon ke ye jo kamre mein hai ujala sa tum ki thahre hue kinare se main ki bahta hua hun dariya sa phul sa lag raha tha jo kal tak chubh raha hai wo aaj kanta sa muskuraate hain zakhm-e-dil 'ashhar' hai nazar mein koi masiha sa