afsos kya jo hum bhi tumhaare nahin rahe tum bhi kisi ke ho ke hamare nahin rahe ab shikwa-e-fareb-e-mohabbat na kijiye hum bhi kisi ki aankh ke tare nahin rahe ye husn-e-ittifaq hai phir mil gae hain wo ye aur baat hai ki hamare nahin rahe tum bhi talluqat ki had se guzar gae hum bhi kisi ko jaan se pyare nahin rahe jab se chale gae wo bahaaron ko lut kar husn-e-bahaar ke wo nazare nahin rahe hum jin ke ho gae the zamane ko chhod kar qismat to dekhiye wo hamare nahin rahe sher-o-sukhan ki mahfilon ki raunaqen gain chhajje nahin rahe wo chaubare nahin rahe meri murad ka hai safina bhi na-murad tufan ruk gaya to kinare nahin rahe wo chashm-e-sharmgin ki fusun-kariyan gain wo chashm-e-surmagin ke ishaare nahin rahe shaalon mein ishq ke bhi wo chingariyan nahin bas aag rah gai hai sharare nahin rahe jate hue wo sabr-o-sukun sath le gaya bahte hue sukun ke dhaare nahin rahe ranai-e-jamal-e-gul-afshan ki khair ho ab husn-e-dilruba ke nazare nahin rahe dil ko tha ibtida-e-mohabbat mein jin pe naz wo apni zindagi ke sahaare nahin rahe be-nur kar gaya koi duniya ko 'soz' ki wo chand chhup gaya wo sitare nahin rahe