ya mah-o-sal ki diwar gira di jae ya meri khak khalaon mein uda di jae kaise aawaz harim-e-rag-e-jaan tak pahunche itni duri se tujhe kaise sada di jae hai to phir kaun hai us ot mein dekhun to sahi darmiyan se ye meri zat hata di jae tere bas mein hai to phir ya mujhe patthar kar de ya meri ruh ki ye pyas bujha di jae chakhne pae na koi bund ye jalti mitti abr utthe to hawa tez chala di jae kuchh dinon baad use dekha to dekha na gaya jaise ek jalti hui jot bujha di jae ye lahakti hui shakhen ye mahakti belen ye hara kunj yahin umr bata di jae aakhir is jang mein kuchh mera bhi hissa hai 'bashir' mere hisse ki mujhe kyun na rida di jae