thakan ghaalib hai dam tute hue hain safar jari qadam tute hue hain ba-zahir to hain salim jism-o-jaan se magar andar se hum tute hue hain adhure hain yahan sare ke sare sabhi to besh-o-kam tute hue hain bura ho e'timad-e-bahami ka ki sab qaul-o-qasam tute hue hain talluq tutne ko hai jahan se chalo ki band-e-gham tute hue hain khuda ka ghar na bakhsha zalimon ne kai dair-o-haram tute hue hain unhen munsif nahin qatil kaho tum ki sab un ke qalam tute hue hain