agar aashiq koi paida na hota to mashuqon ka ye charcha na hota gareban chaak kar rote kahan hum agar ye daman-e-sahra na hota sada rahti tawaqqo bulbulon ko agar ye ghuncha-e-gul wa na hota judai mein agar aankhen na rotin to hargiz raaz-e-dil ifsha na hota 'fughan' kaun ab kharidar-e-sukhan tha agar ye hazrat-e-sauda na hota