inqilabi soch shair ka qalam apni jagah aap ki angdaiyan zulfon ka kham apni jagah jaanta hun main tumhaare baatini kirdar ko jubba-o-dastar-e-ali-mohtaram apni jagah hum rahe apni ana mein kho na badli aap ne aap bhi apni jagah hain aur hum apni jagah aap ki har baat ko taslim farmaya gaya aap ke farman ke sab besh-o-kam apni jagah us ke aane ki lagan mein ji raha hun is tarah kan aahat par lage atka hai dam apni jagah su-e-maqtal jab chala 'ashraf' utha kar zindagi sar-kashida tha meri aankhon ka nam apni jagah