agar chaman ka koi dar khula bhi mere liye sumum ban gai baad-e-saba bhi mere liye mera sukhan bhi hua us ke nam se mausum abas hua mera apna kaha bhi mere liye yahi nahin ki wo raste se mod kat gaya na chhoda us ne koi naqsh-e-pa bhi mere liye talluqat ka rakhna bhi todna bhi muhaal azab-e-jaan hai ye rasm-e-wafa bhi mere liye mujhe tawil safar ka mila tha hukm to phir kuchh aur hoti kushada faza bhi mere liye mere liye jo hai zanjir mera auj-e-nazar kamand hai meri fikr-e-rasa bhi mere liye dawa hai mere liye jis ki khak-e-pa 'mohsin' usi ka ism hai harf-e-dua bhi mere liye