laga ki jaise kisi kanpte hiran ko chhua hamare hathon ne jab phul se badan ko chhua tamam jism mein aasudgi si phail gai tere dahan ne kabhi jab mere dahan ko chhua simat ke aa gai kaghaz pe surat-e-ashaar hamari fikr ne jab bhi kisi ghutan ko chhua kai maqam pe donon mile zarur magar kishan ne radha ko radha ne kab kishan ko chhua lipat ke pahuncha main jab nekiyon ki khushbu mein lahad ki mitti ne darte hue kafan ko chhua kabhi na ho saki izhaar-e-ishq ki jurat ye aur baat kai suraton ne man ko chhua hum apni jaan bhi kar denge 'faiz' us pe nisar agar kisi ne kabhi azmat-e-watan ko chhua