agar gham ki hui yun kar-farmai to kya hoga

agar gham ki hui yun kar-farmai to kya hoga
rahi hote hue bhi un ke tanhai to kya hoga

junun ke raste mein gar khirad aai to kya hoga
nazar meri hi mere dil se takrai to kya hoga

khushi gham ki nazakat ko na ras aai to kya hoga
teri aaghosh mein bhi ruh ghabrai to kya hoga

mubarak hon tabassum ko tere ye karwaten lekin
mere ashkon ne le li koi angdai to kya hoga

nigah-e-muztarib ko lakh thahra len to kya hasil
tajalli khud nazar ban kar jo tharrai to kya hoga

jhuka den hum to sar saqi tere gul-rang jamon par
baghawat ki jo koi mauj ubhar aai to kya hoga

musallam zauq-e-azadi bhi aadab-e-asiri bhi
qafas tak ud ke khak-e-ashiyan aai to kya hoga

gulon ki dhadkanen to jazb kar launga gulshan se
kisi ghunche ki lekin aankh bhar aai to kya hoga

ba-sai-e-ehtiyat-e-zauq-e-nazzara bhi mahfil mein
'shifa' meri nazar sab ko nazar aai to kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close