pata milta nahin dil ka kahan jins-e-giran rakh di

pata milta nahin dil ka kahan jins-e-giran rakh di
isi se zindagani thi ye shai hum ne kahan rakh di

guzari zindagani hum ne yun khana-badoshi mein
jahan tinke nazar aae bina-e-ashiyan rakh di

mitane ko andhera qabr ka hai dagh-e-dil kafi
ye sham' kyon sar-e-marqad udane ko dhuan rakh di

parai aag mein pad kar jo ji par khel jate hain
khuda ne un ke hisse mein hayat-e-jawedan rakh di

kiya betab aisa lazzat-e-shauq-e-shahadat ne
rag-e-jaan mein bhare nashtar kaleje mein sinan rakh di

bhala dekhen to ab kyunkar na un ka dil pasijega
dahan mein nama-bar ke kat kar apni zaban rakh di

sitam hai ghair to hain ba-wafa main bewafa thahra
mujhi pe tum ne kyon tohmat nasib-e-dushmanan rakh di

wahin hai chashma-e-zamzam jahan par baith kar pi li
wahin mai-khana hai mujh rind ne botal jahan rakh di

sukhan-war wajd karte hain tere ash'ar sun-sun kar
ghazal mein baat aisi tu ne 'naz'-e-nukta-dan rakh di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close