ayan be-rangi-e-KHakistar-e-dil hoti jati hai

ayan be-rangi-e-khakistar-e-dil hoti jati hai
ba-wasf-e-shama bhi tarik mahfil hoti jati hai

mukammal surkhi-e-afsana-e-dil hoti jati hai
hamari dastan sunne ke qabil hoti jati hai

hujum-e-yas se ye surat-e-dil hoti jati hai
mujhe ab sham-e-mahfil subh-e-mahfil hoti jati hai

nigah-e-naz waqif ho chali pinhai-e-dil se
ki jazb-e-dil ba-qadr-e-wusat-e-dil hoti jati hai

sunane ko hamare kah raha hai koi mahfil mein
udasi kyon sharik-e-rang-e-mahfil hoti jati hai

na jaane main jahan-e-shauq mein kya banta jata hun
ki jo shai mitti jati hai mera dil hoti jati hai

ye parwanon ki nashen aur aansu sham-e-sozan ke
murattab aur ek mahfil mein mahfil hoti jati hai

safine ka hamare dekh kar rukh jaanib-e-sahil
'shifa' kyon aabdida sham-e-sahil hoti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close