dair mein hai wo na kabe mein na but-khane mein hai dhundhta hun jis ko main wo mere kashane mein hai ye tera husn-e-tasawwur tere kashane mein hai tu na aabaadi mein hai ghafil na virane mein hai hai baja-e-khud zamana bekasi mein mubtala ab murawwat ka nishan apne na begane mein hai us ki hasrat dekhiye us ka kaleja dekhiye raaz jis ki zindagi ka us ke mar jaane mein hai asl mein ai shama tu hai makhzan-e-soz-o-gudaz tujh se jo kuchh bach raha wo soz parwane mein hai mujh ko jannat se koi matlab na kausar se gharaz mere hisse ki wahi mai hai jo paimane mein hai raushni taron se hoti hai na shamon se ziya kya zamane ki siyahi mere gham-khane mein hai main nahin kahta magar main ne suna hai barha jannat-ul-firdaus ki ek rah maikhane mein hai main jo rota hun to rota hai zamana mere sath gham zamane-bhar ka 'shaukat' mere afsane mein hai