agar hamare hi dil mein thikana chahiye tha to phir tujhe zara pahle batana chahiye tha chalo hami sahi sari buraiyon ka sabab magar tujhe bhi zara sa nibhana chahiye tha agar nasib mein tarikiyan hi likkhi thin to phir charagh hawa mein jalana chahiye tha mohabbaton ko chhupate ho buz-dilon ki tarah ye ishtihaar gali mein lagana chahiye tha jahan usul khata mein shumar hote hon wahan waqar nahin sar bachana chahiye tha laga ke baith gae dil ko rog chahat ka ye umr wo thi ki khana kamana chahiye tha