ek dard sab ke dard ka mazhar laga mujhe dariya samundaron ka shanawar laga mujhe mujh ko khala ke par se aati hai ek sada ai rahraw-e-khayal zara par laga mujhe ye aur baat main ne khangala inhen bahut in paniyon se dar hai barabar laga mujhe zakhmi ufuq dhuen ki kamand unghte darakht manzar ki zad mein aa ke bada dar laga mujhe wo din kahan ki us ko sar-e-sham dekh lun pichhle pahar ka chand muqaddar laga mujhe us ki jabin pe dekha to 'sajjad' kya kahun dhabba bhi raushni ka samundar laga mujhe