bech kar tahzib daulat ke pujari ho gae is zamane ke sukhanwar bhi madari ho gae rakh ke wo mizan par diwan apna ro pade jab kisi ke be-sure alfaz bhaari ho gae hum ne ek mandir mein dekhi aaj aisi murti aadmi to aadmi patthar pujari ho gae inqalab aaya to hai lekin ye kaisa inqalab chintiyon ko marne wale shikari ho gae ishq ke bazar se laute hain dil ko haar kar din-o-iman tum sambhaalo hum juari ho gae kaun samjhae samundar ke thapedon ko 'fahim' kaise kaise waqt ke aage bhikari ho gae