agar kabhi tere aazar se nikalta hun to apne daera-e-kar se nikalta hun hawa-e-taza hun rukna nahin kahin bhi mujhe gharon mein ghusta hun ashjar se nikalta hun kabhi hai us ke mazafat mein numud meri kabhi main apne hi aasar se nikalta hun main ghar mein jab nahin hota to ghas ki surat daricha o dar-o-diwar se nikalta hun isi kinara-e-dariya-e-zat par har-dam ghurub hota hun us par se nikalta hun widaa karti hai rozana zindagi mujh ko main roz maut ke manjdhaar se nikalta hun ruka hua koi sailab hun tabiat ka hamesha tundi-e-raftar se nikalta hun ise bhi kuchh meri himmat hi jaaniye jo kabhi khayal-o-khwab ke ambar se nikalta hun libas bechta hun ja ke pahle apna 'zafar' to kuchh kharid ke bazar se nikalta hun