main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala apne ghar ki barbaadi par main hi sar ko dhunne wala jiwan ka sangit achanak antim sur ko chhu leta hai hansta hi rahta hai phir bhi mere andar marne wala rishte bosida diwaron ke jaise dhah jaen pal mein lekin main bhi diwaron ke malbe se sar chunne wala lafzon ke panw ko chhu kar aashirwadi lahje mein meri ghazlon mein bhi ek jazba hai dil ko chhune wala thodi si mohlat milti to papon se main hi bhar leta jiwan ka ek suffa bhi tha kaise sada rahne wala main apne dukh ke sagar mein koi patthar phekun kaise barson tak na-mumkin hai wo laute lahren ginne wala