hal hi na ho jis ka wo muamma to nahin hai maktub-e-azal harf-e-tamanna to nahin hai dil hi ki khudai hai yahan aaj bhi ai dost paband-e-nazar kaif ki duniya to nahin hai be-bahra-e-irfan-e-mohabbat hai azal se socha hai tujhe aql ne dekha to nahin hai andoh ba-daman na ho khud mauj-tarannum aawaz ka har shoabada naghma to nahin hai har rah nazar aane lage mujh ko rah-e-rast be-rah-rawi tera ye mansha to nahin hai gham kya agar aazad-e-musalsal hai meri zist minnat-kash-e-ejaz-e-masiha to nahin hai 'yaqub' sunana hai mujhe dil ki zaban mein afsane ka pahlu koi tishna to nahin hai