agar khuda na kare sach ye khwab ho jae teri sahar ho mera aaftab ho jae huzur aariz-o-rukhsar kya tamam badan meri suno to mujassam gulab ho jae utha ke phenk do khidki se saghar-o-mina ye tishnagi jo tumhein dastiyab ho jae wo baat kitni bhali hai jo aap karte hain suno to sine ki dhadkan rabab ho jae bahut qarib na aao yaqin nahin hoga ye aarzu bhi agar kaamyab ho jae ghalat kahun to meri aaqibat bigadti hai jo sach kahun to khudi be-naqab ho jae