gir pada tu aakhiri zine ko chhu kar kis liye aa gaya phir aasmanon se zamin par kis liye aaina-khanon mein chhup kar rahne wale aur hain tum ne hathon mein utha rakkhe hain patthar kis liye main ne apni har masarrat dusron ko bakhsh di phir ye hangama bapa hai ghar se bahar kis liye aks padte hi musawwir ka qalam tharra gaya naqsh ek aab-e-rawan par hai ujagar kis liye ek hi fankar ke shahkar hain duniya ke log koi bartar kis liye hai koi kam-tar kis liye khushbuon ko mausamon ka zahr pina hai abhi apni sansen kar rahe ho yun moattar kis liye itni ahmiyat ke qabil to na tha mitti ka ghar ek nuqte mein simat aaya samundar kis liye puchhta hun sab se afzal koi batlata nahin bebasi ki maut marte hain sukhan-war kis liye