kya shahr mein hai garmi-e-bazar ke siwa sab ajnabi hain ek dil-e-zar ke siwa is dasht-e-be-khudi mein ki duniya kahen jise ghafil sabhi hain ek nigah-e-yar ke siwa chehron ke chand rakh hue baam bujh gae kuchh bhi bacha na hasrat-e-didar ke siwa aalam tamam tirgi-e-dard-e-muzmahil han ek farogh-e-shola-e-rukhsar ke siwa sari shafaq samet ke suraj chala gaya ab kya raha hai mauj-e-shab-e-tar ke siwa jis samt dekhiye hai salibon ki ek qatar koi ufuq nahin ufuq-e-dar ke siwa