agar main harf-e-ghalat hun to raegan kar de

agar main harf-e-ghalat hun to raegan kar de
main jis waraq pe milun us ki dhajjiyan kar de

karam-nawaz agar hai to itni zahmat kar
mujhe zamin se utha aur aasman kar de

ai chaaragar wo dawa dhundh ilm-e-hikmat mein
jo mere shoala-e-gham ko dhuan dhuan kar de

ana-parasti ke jo tod de gharondon ko
mujhe khulus ki wo mauj-e-be-karan kar de

zaban di hai to phulon si guftugu bhi de
jala ke rakh nahin tu meri zaban kar de

main thak chuka hun bahut dhup ka safar karte
dua ka man tu mere sar pe saeban kar de

padhe zamana bade shauq se mujhe 'danish'
mere wajud ko ek aisi dastan kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close