apne kandhe pe jo har bojh utha sakta hai wo zamin-zad falak apna bana sakta hai teri qurbat mein ye pardes se aaya hua shakhs chhod kar tujh ko kahin aur bhi ja sakta hai jis ki qismat mein ho sahil pe pahunchna us ko ek tinke ka sahaara bhi bacha sakta hai main darakhton pe koi nam nahin likh sakta jo hawa ki tarah aaya hai wo ja sakta hai main khilaune ki tarah dekh raha hun 'maqbul' todne wala mujhe kitna bana sakta hai